Diye Us Ne Auron Ko Saghar Peh Saghar Chaboye Mere Dil Mein Nashtar Peh Nashtar
دئے اس نے اوروں کو ساغر پہ ساغر
چبھوئے مرے دل میں نشتر پہ نشتر
Diye Us Ne Auron Ko Saghar Peh Saghar
Chaboye Mere Dil Mein Nashtar Peh Nashtar
مریض محبت کی ہے اب یہ حالت
کہ آتے ہیں ہر وقت چکر پہ چکر
Mareez e Muhabbat Ki Hai Ab Yeh Halat
Keh Aatay Hai Har Waqt Chakar Peh Chakar
مری سخت جانی غضب رنگ لائی
ہوئے کند قاتل کے خنجر پہ خنجر
Meri Sakht Jani Ghazab Rang Rang Laai
Hoe Kund Qatil Ke Khanjar Peh Khanjar
کرم ہے یہ ساقی کی دریا دلی کا
ملے مجھ کو بھر بھر کے ساغر پہ ساغر
Karam Hai Yeh Saqi Ki Darya Dili Ka
Mily Mujh Ko Bhar Bhar Ke Saghar Peh Saghar
چڑھاتے ہیں تیوری دکھاتے ہیں آنکھیں
چبھوتے ہیں دل میں وہ نشتر پہ نشتر
Chadaty Hein Tewar Dekhaty Hein Aankhein
Chaboty Hein Dil Mein Woh Nashtar Peh Nashtar
تری جستجو میں مہ و مہر دونوں
لگاتے ہیں دن رات چکر پہ چکر
Teri Justjo Mein Mah o Mahar Dono
Lagaye Hein Din Raat Chakar Peh Chakar
مقابل ہوا ان کی چتون سے جب دل
پڑے تیر پر تیر خنجر پہ خنجر
Muqabil Hoa Un Ke Chaton Se Jab Dil
Paday Teer Par Teer Khanjar Peh Khanjar
نگاہوں نے دل میں چبھوئی ہیں چھریاں
اداؤں نے مارے ہیں خنجر پہ خنجر
Nigahon Ne Dil Mein Chaboyi Hein Churiyan
Adaoun Ne Mare Hein Khanjar Peh Khanjar
نہ سرکا سر اس در سے آفاقؔ ہرگز
لگا کر اسے لاکھ ٹھوکر پہ ٹھوکر
Na Sar Ka Sar Us Dar Se AAFAQ Har-Giz
Laga Kar Ise Lakh Thokar Peh Thokar
آفاق بنارسی
Aafaq Banarasi
Comments
Post a Comment