Khudi Ka Aaina Mujh Ko Dekha Diya Tum Ne Mujh Hi Se Mera Ta'aruf Kara Diya Tum Ne



خودی کا آئینہ مجھ کو دکھا دیا تم نے
مجھ ہی سے میرا تعارف کرا دیا تم نے
Khudi Ka Aaina Mujh Ko Dekha Diya Tum Ne
Mujh Hi Se Mera Ta'aruf Kara Diya Tum Ne

اک عمر بعد کہ سمجھا تھا رازِ بزمِ دہر
ابھی سے حَکمِ جُدائی سُنا دیا تم  نے
Ik Umar Ba'ad Keh Samjha Tha Raaz e Bazm Dahar
Abhi Se Hukam Judaai Suna Diya Tum Ne

ملا نہ چین مجھے گھر کو چھوڑ کر اپنے
بس اک خطا کو تماشا بنا دیا تم نے
Mila Na Chain Mujhe Ghar Ko Chod Kar Apne
Bas Ik Khata Ko Tamasha Bana Diya Tum Ne

تمام عُمر ہی گزری خَفی اشاروں پر
کبھی ہنسا دیا تم نے کبھی رُلا دیا تم
Tamam Umar Hi Guzri Khfi Isharon Par
Kabhi Hansa Diya Tum Ne Kabhi Rula Diya Tum Ne

میں راہِ عشق میں چڑھتا رہا صلیبوں پر
پیا جو  زہر کا پیالہ پِلا دیا تم نے
Main Rah e Ishq Mein Chadta Raha Saleebon Par
Piya Jo Zehar Ka Piyala Pila Diya Tum Ne

اس ایک شخص سے کتنی ہیں نفرتیں تم کو
لگا کے آگ شہر ہی جلا دیا تم نے
Us Aik Shakhs Se Kitni Hein Nafratein Tum Ko
Laga Ke Aag Shehar Hi Jala Diya Tum Ne

صفر جواب ہے ارشد حساب کا اپنے
یہاں سے کیا لیا آخر میں کیا دیا تم نے
Sifar Jawaab Hai ARSHAD Hisaab Ka Apna
Yahan Se Kia Lia Aakhir Mein Kia Diya Tum Ne

مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

مئی ٢٣، ٢٠٢٣


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo