Mera Khamosh Reh Kar Bhi Unhein Sab Kuch Suna Daina Zuban Se Kuch Na Kehna Daikh Kar Aansoo Baha Daina



میرا خاموش رہ کر بھی انہیں سب کچھ سنا دینا
زباں سے کچھ نہ کہنا دیکھ کر آنسو بہا دینا
Mera Khamosh Reh Kar Bhi Unhein Sab Kuch Suna Daina
Zuban Se Kuch Na Kehna Daikh Kar Aansoo Baha Daina

میں اس حالت سے پہنچا حشر والے خود پکار اٹھے
کوئی  فریاد  کرنے  آ  رہا  ہے  راستہ  دینا
Main Is Halat Se Puhoncha Hashar Wale Khud Pukar Uthay
Koi Faryad Karne Aa Raha Hai Rasta Daina

اجازت ہو تو کہہ دوں قصۂ الفت سرِ محفل
مجھے کچھ تو فسانہ یاد ہے کچھ تم سنا دینا
Ijazat Ho Tou Keh Don Qissa e Ulfat Sar e Mehfil
Mujhe Kuch Tou Fasana Yaad Hai Kuch Tum Suna Daina

میں مجرم ہوں مجھے اقرار ہے جرمِ محبت کا
مگر پہلے خطا پر غور کر لو پھر سزا دینا
Main Mujrim Hon Mujhe Iqrar Hai Jurm e Muhabbat Ka
Magar Pehle Khata Par Ghor Kar Lo Phir Saza Daina

قمرؔ وہ سب سے چھپ کر آ رہے ہیں فاتحہ پڑھنے
کہوں کس سے کہ میری شمعِ تُربت کو بُجھا دینا
QAMAR Woh Sab Se Chup Kar Aa Rahe Hein Fatiha Parhne
Kahon Kis Se Keh Meri Shamma e Turbat Ko Bujha Daina

قمر جلالوی
Qamar Jalavi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai