Pehla Sa Haal Pehli Se Wehshat Nahi Rahi Shayed Keh Tere Hijar Ki Aadat Nahi Rahi



پہلا سا حال پہلی سے وحشت نہیں رہی
شاید کہ تیرے  ہجر کی عادت  نہیں رہی
Pehla Sa Haal Pehli Se Wehshat Nahi Rahi
Shayed Keh Tere Hijar Ki Aadat Nahi Rahi

شہروں میں ایک شہر میرے رت جگوں کا شہر
کوچے تو کیا  دلوں  ہی میں  وسعت نہیں رہی
Shehron Mein Aik Shehar Mere Rut Jagon Ka Shehar
Koochay Tou Kia Dilon Mein Wusa'at Nahi Rahi

 یادوں میں ایک یاد ،کوئی دل شکن سی یاد
وہ یاد اب  کہاں  ھے کہ فرصت نہیں  رہی
Yadon Mein Aik Yaad , Koi Dil-Shikan See Yaad
Woh Yaad Ab Kahan Hai Keh Fursat Nahi Rahi

ناموں میں ایک نام ، سوال آشنا کا نام
اب دل پہ ایسی کوئی عبارت نہیں رہی
Namon Mein Aik Nam , Sawal Aashna Ka Nam
Ab Dil Peh Aisi Koi Ibarat Nahi Rahi

خوابوں میں ایک خواب ، تیری ہمرہی کا خواب
اب تجھ کو دیکھنے کی بھی فرصت نہیں رہی
Khuwabon Mein Aik Khuwaab , Teri Humrahi Ka Khuwaab
Ab Tujh Ko Daikhny Ki Bhi Fursat Nahi Rahi

رنگوں میں ایک رنگ ، تیری سادگی کا رنگ
ایسی  ہوا  چلی کہ  وہ  رنگت  نہیں  رہی
Rangon Mein Aik Rang , Teri Sadgi Ka Rang
Aisi Hawa Chali Keh Woh Rangat Nahi Rahi

باتوں میں ایک بات ، تیری چاہتوں کی بات
اور  اب  یہ  اتفاق  کہ  چاہت   نہیں   رہی
Baton Mein Aik Baat , Teri Chahaton Ki Baat
Aur Ab Yeh Itefaq Keh Chahat Nahi Rahi

زخموں میں ایک زخم متاع ہنر کا زخم
اب کوئی  آرزوئے  جراحت نہیں رہی
Zakhmon Mein Aik Zakham Mata'a e Hunar Ka Zakham
Ab Koi Aarzoo e Jarahat Nahi Rahi

نصیرؔ ترابی
 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo