Tahreer Baich Kar Tou Kabhi Baat Baich Kar Pate Hein Rizaq Soorat e Halat Baich Kar



تحریر بیچ کر تو کبھی بات بیچ کر 

پاتے ہیں رزق صورت حالات بیچ کر

 Tahreer Baich Kar Tou Kabhi Baat Baich Kar

Pate Hein Rizaq Soorat e Halat Baich Kar

واقف نہ تھے تجارتِ مہر و وفا سے جو

لَوٹے ہیں پائی پائی میں جذبات بیچ کر

 Waqif Na Thay Tejarat e Mehar o Wafa Se Jo

Loty Hein Paai Paai Mein Jazbaat Baich Kar

کس منہ سے لڑ سکے گی سپاہِ ستم شعار

دشمن کے ہاتھ اپنی ہر اک گھات بیچ کر

 Kis Munh Se Lad Saky Gi Sipah e Sitam Sha'ar

Dushman Ke Haath Apni Har Ik Ghaat Baich Kar

اس بادشاہ وقت سے کیسی توقعات

 بیٹھا ہے تخت پر جو عنایات بیچ کر

 Us Badsha e Waqt Se Kaisi Towaqa'at

Baitha Hai Takht Par Jo Inayaat Baich Kar

اپنی ہر ایک شام ہر اک رات بیچ کر

 اب آ گیا ہے جینا ہمیں ذات بیچ کر

 Apni Har Aik Sham Par Ik Raat Baich Kar

Ab Aa Gaya Hai Jeena Humain Zaat Baich Kar

ہم بھی ہیں کیا عجب کہ کڑی دھوپ کے تلے

صحرا خرید لائے ہیں برسات بیچ کر

 Hum Bhi Hein Kia Ajab Keh Kadi Dhoop Ke Taly

Sahra Khareed Laye Hein Barsat Baich Kar

 فرحت عباس شاہ

 Farhat Abbas Shah


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo