Tanhaai Poochay , Anjuman Aaraai Kia Hoi Aur Anjuman Ko Fikar Keh Tanhaai Kia Hoi



تنہائى پوچھے، انجمن آرائى کیا ہوئى
اور انجمن کو فکر کہ تنہائى کیا ہوئى

Tanhaai Poochay , Anjuman Aaraai Kia Hoi

Aur Anjuman Ko Fikar Keh Tanhaai Kia Hoi

اک آرزو ہے، وہ بھی خجالت پذیر ہے
وہ یاد کیا ہوئى ، وہ شناسائی کیا ہوئى

Ik Aarzoo Hai , Woh Bhi Khajalat Pazeer Hai

Woh Yaad Kia Hoi , Woh Shanasaai Kia Hoi

قیدِ مکان کی تھی جو تنگی، وہ اب بھی ہے
دشتِ خیال کی تھی جو پہنائى کیا ہوئى

Qaid e Makan Ki Thi Jo Tangi , Woh Ab Bhi Hai

Dasht e Khayal Ki Thi Jo Pehnaai Kia Hoi

شاید کہیں نہیں ہوں میں از روےشش جہات
لیکن جو ہو چکی ہے وہ رسوائی کیا ہوئى

Shayed Kahein Nahi Hon Main Az Ro e Shash Jahalat

Lekin Jo Ho Chuki Hai Woh Ruswaai Kia Hoi

دل کے نواح میں جو گلستاں تھے کیا ہوئے
اور پنچھیوں کی زمزمہ پیرائى کیا ہوئى

Dil Ke Nawah Mein Jo Gulistan Thay Kia Hoe

Aur Panchion Ki Zamzamah Peeraai Kia Hoi

ماضی کے ہم سفر مجھے آتے نہیں نظر
بچپن جہاں سے گزرا وہ انگنائى کیا ہوئى

Mazi Ke Humsafar Mujhe Aaty Nahi Nazar

Bachpan Jahan Se Guzra Woh Angnaai Kia Hoi 

صابر ظفر
Sabir Zafar

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai