Tu Aseer e Bazm Hai Hum Sukhan Tujhe Zouq Nala e Ne Nahi Tera Dil Gudaz Ho Kis Tarah Ye Tere Mizaj Ki Le Nahi



کلام ناصر کاظمی
Kalam:Nasir Kazmi

کتاب دیوان کلیاتِ ناصر
Book:Deewan Kulyat Nasir
صفحہ نمبر- 239

تو اسیر بزم ہے ہم سخن تجھے ذوق نالہء نے نہیں
ترا دل گداز ہو کس طرح یہ ترے مزاج کی لے نہیں
Tu Aseer e Bazm Hai Hum Sukhan Tujhe Zouq Nala eNe Nahi
Tera Dil Gudaz Ho Kis Tarah Ye Tere Mizaj Ki Le Nahi

ترا ہر کمال ہے ظاہری ترا ہر خیال ہے سرسری
کوئی دل کی بات کروں تو کیا ترے دل میں آگ تو ہے نہیں
Tera Har Kamal Hai Zahiri Tera Har Khayal Hai Sarsari
Koi Dil Ki Baat Tou Kia Tere Dil Mein Aag Tou Hai Nahi

جسے سن کے روح مہک اٹھے جسے پی کے درد چہک اٹھے
ترے ساز میں وہ صدا نہیں ترے میکدے میں وہ مے نہیں
Jise Sun Ke Rooh Mehik Uthay Jise Pee Ke Dard Chehik Uthay
Tere Saaz Mein Woh Sada Nahi Tere Maikaday Mein Woh Mai Nahi

کہاں اب وہ موسم رنگ و بو کہ رگوں  میں بول اٹھے لہو
یونہی ناگوار  چبھن سی ہے کہ جو شامل رگ و پے نہیں
Kahan Ab Woh Mousam Rang o Boo Keh Ragon Mein Bol Uthay Lahoo
Yun Hi Nagawar Chubhan See Hai Keh Jo Shamil Rag o Pay Nahi

ترا دل ہو درد سے آشنا تو یہ نالہ غور سے سن ذرا
بڑا جاں گسل ہے یہ واقعہ یہ فسانہء جم  وکے نہیں
Tera Dil Ho Dard Se Aashna Tou Yeh Nala Ghor Se Sun Zara
Bada Jaan Gasal Hai Ye Waqia'ah Ye Fasana Jam o Ke Nahi

میں ہوں ایک شاعر  بے نوا مجھے کون چاہے مرے سوا
میں امیر شام و عجم نہیں میں کبیر کوفہ ورے نہیں
Main Hon Aik Shaair Be-Nawa Mujhe Kon Chahe Mere Siwa
Main Ameer Shaam o Ajam Nahi Main Kabeer Kofa Ware Nahi

یہی شعر ہیں مری سلطنت اسی فن میں ہے مجھے عافیت
مرے کاسہء شب وروز  میں ترے کام کی کوئی شے نہیں
Yahi Sair Hein Meri Sultanat Isi Fun Mein Hai Mujhe Aafiat
Mere Kasaa e Shab o Roz Mein Tere Kam Ki Koi Shay Nahi

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai