Wahi Taj Hai Wahi Takht Hai Wahi Zehar Hai Wahi Jaam Hai Ye Wahi Khuda Ki Zameen Hai Ye Wahi Button Ka Nizam Hai



وہی تاج ہے وہی تخت ہے وہی زہر ہے وہی جام ہے
یہ وہی خدا کی زمین ہے یہ وہی بتوں کا نظام ہے
Wahi Taj Hai Wahi Takht Hai Wahi Zehar Hai Wahi Jaam Hai
Ye Wahi Khuda Ki Zameen Hai Ye Wahi Button Ka Nizam Hai

بڑے شوق سے مرا گھر جلا کوئی آنچ تجھ پہ نہ آئے گی
یہ زباں کسی نے خرید لی یہ قلم کسی کا غلام ہے
Baday Shouq Se Mera Ghar Jala Koi Aanch Tujh Peh Na Aayegi
Ye Zuban Kisi Ne Khareed Li Ye Qalam Kisi Ka Ghulam Hai

یہاں ایک بچے کے خون سے جو لکھا ہوا ہے اسے پڑھیں
ترا کیرتن ابھی پاپ ہے ابھی میرا سجدہ حرام ہے
Yahan Aik Bachay Ke Khoon Se Jo Lekha Hoa Hai Usay Parhein
Tera Kertan Abhi Paap Hai Abhi Mera Sajdah Haram Hai

میں یہ مانتا ہوں مرے دیے تری آندھیوں نے بجھا دئیے
مگر ایک جگنو ہواؤں میں ابھی روشنی کا امام ہے
Ye Main Manta Hon Mere Diye Teri Aandhiyun Ne Bujha Diye
Magar Aik Jugno Hawaoun Mein Abhi Roshni Ka Imam Hai

مرے فکر و فن تری انجمن نہ عروج تھا نہ زوال ہے
مرے لب پہ تیرا ہی نام تھا مرے لب پہ تیرا ہی نام ہے
Mere Fikar o Fun Teri Anjuman Na Urooj Tha Na Zawal Hai
Mere Lab Pe Tera Hi Nam Tha Mere Lab Peh Tera Hi Nam Hai

بشیر بدر
Bashir Badar


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai