Woh Saba-Zadah Sahi , Sar Sar Bhi Hai Sangdil Bhi , Aaina Paikar Bhi Hai



وہ صبا زادہ سہی، صر صر بھی ہے
سنگدل بھی، آئینہ پیکر بھی ہے
Woh Saba-Zadah Sahi , Sar Sar Bhi Hai
Sangdil Bhi , Aaina Paikar Bhi Hai

کر رہا ہوں طے اندھیروں کا سفر
بوجھ صدیوں کا مرے سر پر بھی ہے
Kar Raha Hon Tay Andheron Ka Safar
Bojh Sadion Ka Mere Sar Par Bhi Hai

آئینے کو کیا خبر اس بھید کی
ایک چہرہ جسم کے اندر بھی  ہے
Aainay Ko Kia Khabar Is Bhaid Ki
Aik Chehra Jisam Ke Andar Bhi Hai

صبح کی پہلی کرن کو کیا خبر؟
تیرے زانو پر کسی کا سر بھی ہے
Subah Ki Pehli Kiran Ko Kia Khabar ?
Tere Zano Par Kisi Ka Sar Bhi Hai

پربتوں کے پار جانا ہے مجھے
ہر قدم پر اک نئی ٹھوکر بھی ہے
Parbaton Ke Paar Jana Hai Mujhe
Har Qadam Ik Nayi Thokar Bhi Hai

منصفی آئی ہے جس کے ہاتھ میں
آستیں اس کی لہو میں تر بھی ہے
Munsifi Aayi Hai Jis Ke Haath Mein
Aasteen Uski Lahoo Mein Tar Bhi Hai

چاند بھی اترا ہوا ہے جھیل میں
اک نیا منظر پسِ منظر بھی ہے
Chand Bhi Utra Hoa Hai Jheel Mein
Ik Naya Manzar Pas e Manzar Bhi Hai

احتیاط اے سادہ دل محسن مرے
دوستوں کے ہاتھ میں خنجر بھی ہے
Ikhteyat Ae Sadah Dil MOHSIN Mere
Doston Ke Haath Mein Khanjar Bhi Hai

محسن نقوی
Mohsin Naqvi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo