Yaar Aisa Koi Mai-Khana Ho Wird Tera Jahan Rozana Ho



یار ایسا کوٸی مے خانہ ہو
 ورد تیرا جہاں روزانہ ہو
Yaar Aisa Koi Mai-Khana Ho
Wird Tera Jahan Rozana Ho

 یار محفل سجی ہے قربت کی
 آج کوٸی بھی پی کے برّا  نہ  ہو
Yaar Mehfil Saji Hai Qurbat Ki
Aaj Koi Bhi Pee Ke Barra Na Ho

 یہ میں اللہ سے دعا کرتا ہوں
 کوٸی اپنا بھی نہ دیوانہ ہو
Ye Main ALLAH Se Dua Karta Hon
Koi Apna Bhi Na Deewana Ho

  میں تجھے آخری پل  پہچاں گیا
  ہو بہو سوخ سا مستانہ ہو
Main Tujhe Aakhri Pal Pehchan Gaya
Ho Baho Shokh Sa Mastana Ho

  میں ترے سامنے ایسے جھوموں
  شمع کے گرد یوں پروانہ ہو
Main Tere Samne Aise Jhomon
Shamma Ke Gird Yun Parwana Ho

 ایسی مے پینے کا کیا فاٸدہ ہے
 پی کے مے بعد میں  پچھتانہ ہو
Aisi Mai Peenay Ka Kia Faidah Hai
Pee Ke Mai Ba'ad Mein Pachtana Ho

 راستے میں ملا وہ یکدم سے
 اور یوں  تکتا رہا  انجانہ ہو
Rastay Mein Mila Woh Yakdam Se
Aur Yun Takta Raha Anjana Ho

کلام امیر عثمان
Kalam :Ameer Usman

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha