Qatil Ko Koi Qatal Ka Aadaab Sekhaye Dastar Ke Hote Hoe Sar Kaat Raha Hai



صیّاد تو امکان سفر کاٹ رہا ہے
اندر سے بھی کوئی مرے پر کاٹ رہا ہے
Sayyad Tou Imkan Safar Kaat Raha Hai
Andar Se Bhi Koi Mere Par Kaat Raha Hai

اے چادر منصب، ترا شوقِ گلِ تازہ
شاعر کا ترے دستِ ہُنر کاٹ رہا ہے
Ae Chadar Mansab , Tera Shouq e Gul e Taza
Shair Ka Tere Dast e Hunar Kaat Raha Hai

جس دن سے شمار اپنا پناہگیروں میں ٹھہرا
اُس دن سے تو لگتا ہے کہ گھر کاٹ رہا ہے
Jis Din Se Shumar Apna Panahgeeron Mein Thehra
Us Din Se Tou Lagta Hai Keh Ghar Kaat Raha Hai

کس شخص کا دل میں نے دُکھایا تھا، کہ اب تک
وہ میری دعاؤں کا اثر کاٹ رہا ہے
Kis Shakhs Ka Dil Main Ne Dukhaya Tha , Keh Ab Tak
Woh Meri Duaoun Ka Asar Kaat Raha Hai

قاتل کو کوئی قتل کے آداب سکھائے
دستار کے ہوتے ہوۓ سر کاٹ رہا ہے
Qatil Ko Koi Qatal Ka Aadaab Sekhaye
Dastar Ke Hote Hoe Sar Kaat Raha Hai

پروین شاکر
Parveen Shakir


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai