Rukta Bhi Nahi Theek Se , Chalta Bhi Nahi Hai Yeh Dil Keh Tere Ba'ad , Sanbhalta Bhi Nahi Hai

 

رُکتا بھی نہیں ٹھیک سے ، چلتا بھی نہیں ھے
یہ دل کہ تیرے بعد ، سنبھلتا بھی نہیں ھے

Rukta Bhi Nahi Theek Se , Chalta Bhi Nahi Hai

Yeh Dil Keh Tere Ba'ad , Sanbhalta Bhi Nahi Hai
اک عمر سے ھم اُس کی تمنا میں ھیں بے خواب
وہ چاند جو آنگن میں ، اُترتا بھی نہیں ھے

Ik Umar Se Hum Uski Tamanna Mein Hein Be-Khuwaab

Woh Chand Jo Aangan Mein , Utarta  Bhi Nahi Hai
پھر دل میں تیری یاد کے ، منظر ھیں فروزاں
ایسے میں کوئی ، دیکھنے والا بھی نہیں ھے

Phir Dil Mein Teri Ke ,Manzar Hein Firozaan

Aise Mein Koi , Daikhne Wala Bhi Bhi Nahi Hai
ھمراہ بھی خواھش سے ، نہیں رھتا ھمارے
اور بامِ رفاقت سے ، اُترتا بھی نہیں ھے

Humrah Bhi Khuwahish Se, Nahi Rehta Humare

Aur Baam e Rafaqat Se , Utarta Bhi Nahi Hai
اِس عمر کے صحرا سے ، تری یاد کا بادل
ٹلتا بھی نہیں ، اور برستا بھی نہیں ھے

Is Umar Ke Sahra Se , Teri Yaad Ka Badal

Talta Bhi Nahi , Aur Barasta Bhi Nahi Hai

نوشی گیلانی
Noshi Gailani

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo