Saath Raha Woh Chand Roz Muhabbat Karne Ke Liye Ba-Izzat Le Gaya Tha Ghar Se Be-Izzat Karne Ke Liye
ساتھ وہ میرے رہا چند روز محبّت کرنے کے لئے
با عزت لے گیا تھا گھر سے بے عزت کرنے کے لئے
Saath Raha Woh Chand Roz Muhabbat Karne Ke Liye
Ba-Izzat Le Gaya Tha Ghar Se Be-Izzat Karne Ke Liye
فرشتوں سا مزاج تھا اس شخص کا بھی
مُجھے ہی چُنا ہر بار نصیحت کرنے کے لئے
Fareshton Sa Mizaj Tha Us Shakhs Ka Bhi
Mujhe Hi Chuna Har Baar Naseehat Karne Ke Liye
موت بھی رہی حالات سے واقف میرے
بس وہ نہ آیا کبھی عیادت کرنے کے لیے
Mout Bhi Rahi Haalaat Se Waqif Mere
Bas Woh Na Aaya Kabhi Iyadat Karne Ke Liye
اب سوچتی ہوں تو ہنسی آتی ہے اس کے الفاظ پر
کہ مَیں ضروری ہوں، اِک گھر کو جنت بنانے کے لئے
Ab Sochti Hon Tou Hansi Aati Hai Uske Alfaaz Par
Keh Main Zaroori Hon , Ik Ghar Ko Jannat Banane Ke Liye
ساتھ چھوڑنا اور دِل توڑنا الگ باتیں ہیں
خدا نے کب دی اجازت خیانت کرنے کے لئے
Saath Chadhna Aur Dil Todhna Alag Batein Hein
Khuda Ne Kab Di Ijazat Khayanat Karne Ke Liye
مجھے بھی لے ڈوبی یہ لالچ ثواب کی
کہ عشق بھی ضروری ہے عبادت کے لئے
Mujhe Bhi Le Doobi Yeh Lalach Sawaab Ki
Keh Ishq Bhi Zaroori Hai Ibadat Ke Liye
پروین شاکر
Parveen Shakir
Comments
Post a Comment