Safar mein baad-E-mukhaalif faqat bahaana thha Ussey to yoon bhi kisi Aur samt jaana thha



سفر میں بادِ مخالف فقط بہانہ تھا
اُسے تو یوں بھی کسی اور سمت جانا تھا
نظر سے ہو گیا اوجھل وہ تب یہ ہوش آیا
صدائیں دینی تھیں اُس کو اُسے بلانا تھا
کیا تھا قلزمِ غم قید اُس ایک قطرے میں
وہ ایک اشک جو ہم کو نہیں بہانا تھا
ہے یہ بھی دَور کے نیندوں سے خواب روٹھے ہیں
کھلی نگاہ دے دیکھے تھے، اک زمانہ تھا
کسی کے ہجر میں جینے کی جراَتیں کی تھیں
ہمارے دل کا رویہ بھی جارہانہ تھا
رہی وفاَ کو کبھی جس کی رہبری پیاری
اُسی کس اپنا ہر اک نقشِ پا مٹانا تھا
ز ر وفاؔ
Safar mein baad-E-mukhaalif faqat bahaana thha
Ussey to yoon bhi kisi Aur samt jaana thha
Nazar se ho gaya oajhal Wo, tab ye hosh aaya
Sadaaein Deni thhin Uss ko, ussey bulaana thha
Kiya thha qulzum-E-gham qaid Uss ek qatre mein
Wo ek ashk, jo hamm ko nahi bahaana thha
Hai ye bhi daur ke neendon se khaab roothhe hain
Khuli nigaah se dekhe thai, ik zamaana thha
Tumhaare hijr mein jeene ki jurratein ki thhin
Hamaare Dil ka ravayya bhi jaarihaana thha
Rahi Wafaؔ ko Kabhi jiss ki rahbari pyaari
Ussi ko apna har ik naqsh-E-paa mitaane thha

Zay-Ray Wafa


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha