Sar Jhuka Daite Hein Kamanon Ke Teer Chaltay Hein Jab Zubanon Ke



سر جھکا دیتے ہیں کمانوں کے
تیر چلتے ہیں جب زبانوں کے
Sar Jhuka Daite Hein Kamanon Ke
Teer Chaltay Hein Jab Zubanon Ke

مشترک غم زمیں ہمارا ہے
ہم ہیں قدموں پہ آسمانوں کے
Mushtarak Gham Zameen Humara Hai
Hum Hein Qadmon Peh Aasmanon Ke

ریت ساحل پہ جو بناتی ہے
ہم مکیں ہیں انہی مکانوں کے
Ret Sahil Peh Jo Banati Hai
Hum Makeen Hein Inhi Makanon Ke

کچھ تو ہم بھی خراب ہیں اور کچھ
لوگ کچے بہت ہیں کانوں کے
Kuch Tou Hum Bhi Kharab Hein Aur Kuch
Log Kachay Buhat Hein Kanon Ke

ہم تھے سمجھے خزاں بہار کے ہیں
کھیل سارے ہیں باغبانوں کے
Hum Thay Samjhe Khizan Bahar Ke Hein
Khail Sare Hein Baghbanon Ke

ہم کہ کردار بھی نہ بن پائے
آپ ، اپنی ہی داستانوں کے
Hum Keh Kirdar Bhi Na Ban Paaye
Aap , Apni Hi Dastanon Ke

اتباف ابرک
Atbaf Abrak


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai