Ye Ajeeb Majra Hai Keh Baroz e Qurban Wahi Zabah Bhi Kare , Wahi Le Sawaab Ulta



مجھے کیوں نہ آوے ساقی نظر آفتاب الٹا
کہ پڑا ہے آج خُم میں قدحِ شراب الٹا
Mujhe Kion Na Aaway Saqi Nazar Aaftaab Ulta
Keh Pada Hai Aaj Khum Mein Qadh e Sharaab Ulta

عجب الٹے ملک کے ہیں اجی آپ بھی کہ تُم سے
کبھی بات کی جو سیدھی تو ملا جواب الٹا
Ajab Ultay Mulk Ke Hein Ajee Aap Bhi Keh Tum Se
Kabhi Baat Ki Jo Seedhi Tou Mila Jawaab Ulta

چلے تھے حرم کو رہ میں، ہوئے اک صنم کے عاشق
نہ ہوا ثواب حاصل، یہ ملا عذاب الٹا
Chalay Thay Haram Ko Reh Mein , Howay Ik Sanam Ke Aashiq
Na Hoa Sawaab Hasil , Yeh Mila Azaab Ulta

یہ شب گذشتہ دیکھا کہ وہ خفا سے کچھ ہیں گویا
کہیں حق کرے کہ ہووے یہ ہمارا خواب الٹا
Yeh Shab Guzeshta Daikha Keh Woh Khafa Se Kuch Hein Goya
Kahein Haq Kare Keh Howay Yeh Hamara Khuwaab Ulta

یہ عجیب ماجرا ہے کہ بروزِ عیدِ قرباں
وہی ذبح بھی کرے ہے, وہی لے ثواب الٹا
Ye Ajeeb Majra Hai Keh Baroz e Qurban
Wahi Zabah Bhi Kare , Wahi Le Sawaab Ulta

کھڑے چُپ ہو دیکھتے کیا, مرے دل اجڑ گئے کو
وہ گنہہ تو کہہ دو جس سے یہ وہ خراب الٹا
Kapday Chup Ho Daikhtay Kia , Mere Dil Ujad Gaye Ko
Woh Gunah Tou Keh Do Jis Se Ye Woh Kharab Ulta

غزل اور قافیوں میں نہ کہے سو کیونکے انشا
کہ ہوا نے خود بخود آ، ورقِ کتاب الٹا
Ghazal Aur Qafion Mein Na Kahe So Kionke INSHA
Keh Hawa Ne Khud Bakhud Aa , Warq Kitab Ulta

انشا اللہ خان انشا
Insha Allah Khan Insha


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo