Chand Ko Chho Liya Kal Shab Mere Hum-Saaye Ne Aur Mere Ghasr Mein Andheron Ke Siwa Kuch Bhi Nahi



چاند کو چُھو لیا کل شب مِرے ہمسائے نے
اور مِرے گھر میں اندھیروں کے سوا کچھ بھی نہیں
Chand Ko Chho Liya Kal Shab Mere Hum-Saaye Ne
Aur Mere Ghasr Mein Andheron Ke Siwa Kuch Bhi Nahi

بھوک سے ماند پڑے ہیں مِرے بچے مِرے چاند
اور مَیں خوش فہم بضد ہوں کہ ہُوا کچھ بھی نہیں
Bhook Se Maand Paday Hein Mere Bachay Mere Chaand
Aur Main Khush Faham Ba-Zid Hoon Keh Hoa Kuch Bhi Nahi

میرا ہمسایہ نہیں مجھ سے زیادہ باعلم
ہاں مگر اُس کی رہائش کا چلن بہتر ہے
Mera Hum-Saya Nahi Mujh Se Ziyada Ba-Ilam
Haan Magar Uski Rehaaeish Ka Chalan Behtar Hai

میرے ہاں بھی ہیں کئی پھول مگر پژمُردہ
اُس نے گھر میں جو کھلایا ہے چمن بہتر ہے
Mere Haan Bhi Hein Kai Phool Magar Pajmurdah
Us Ne Ghar Mein Jo Khilaya Hai Chaman Behtar Hai

اب بھی ہے وقت کہ مَیں اپنا ہُنر پہچانوں
اور اس گھر کی معیشت پہ کروں غور ذرا
Ab Bhi Hai Waqt Keh Main Apna Hunar Pehchanon
Aur Is Ghar Ki Ma'aeshiyat Peh Karon Ghor Zara

اپنے احوال میں لے آؤں درستی اک بار
اور پھر خود سے کہوں اور ذرا اور ذرا
Apne Ahwal Mein Ly Aaon Darusti Ik Bar
Aor Phir Khud Se Kahon Aur Zara Aur Zara

سوچتا ہوں کہ مُحلّے میں سکوں کی خاطر
اپنے ہمسائے سے کہہ دوں کہ چل آ، صلح کریں
Sochta Hon Keh Mahallay Mein Sukoon Ki Khatir
Apne Humsaye Se Keh Don Keh Chal Aa , Sulah Karein

تیرے ہاں بھی ہیں بہت دُکھ، مِرے ہاں بھی کئی غم
فائدہ کیا ہے جھگڑنے کا بھلا ؟ صلح کریں
Tere Haan Bhi Hein Buhat Dukh , Mere Haan Bhi Kai Gham
Faida Kia Hai Jhagadny Ka Bhala ? Sulah Karein

اپنے بچوں کے لیے مل کے کریں ہم ایجاد
وہ گلی اور وہ محلہ کہ جہاں جنگ نہ ہو
Apne Bachon Ke Liye Mil Ke Karein Hum Ejaad
Woh Galy Woh Mahallah Keh Jahan Jang Na Ho

بھوکا سوئے نہ کوئی دونوں گھروں میں اب سے
پھول ہی پھول ہوں ہر سمت، کہیں سنگ نہ ہو
Bhooka Soye Na Koi Dono Gharon Mein Ab Se
Phool Hi Phool Hon Har Simat , Kahein Sang Na Ho

رحمان فارس
Rehman Faris


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo