Khuwaab Ke Sare Dareechon Se Judi Rehti Hai Yun Woh Be-Nam Galy Mujh Mein Bichi Rehti Hai



خواب کے سارے  دریچوں سے جُڑی رہتی ہے
یُوں وہ بے نام گلی مجھ میں بچھی رہتی ہے
Khuwaab Ke Sare Dareechon Se Judi Rehti Hai
Yun Woh Be-Nam Galy Mujh Mein Bichi Rehti Hai


خود تو مَیں جا بھی چُکا جسم سے ہجرت کرکے
آج کل مجھ میں فقط تیری کمی رہتی ہے
Khud Tou Main Ja Bhi Chuka Jisam Se Hijrat Kar Ke
Aaj Kal Mujh Mein Faqat Teri Kami Rehti Hai


تُو یہاں ہے بھی نہیں پھر بھی یہاں ہے اتنا
میرے ہر سمت تری بِھیڑ لگی رہتی ہے
Tu Yahan Hai Bhi Nahi Phir Bhi Yahan Hai Itna
Mere Har Simat Teri Bheed Lagi Rehti Hai

 
اپنے کم گو سے مجھے کرنی ہو جب گفت و شُنید
بات تو بنتی نہیں، جاں پہ بنی رہتی ہے
Apne Kam-Go Se Mujhe Karni Ho Jab Guft o Shuneed
Baat Tou Banti Nahi , Jaan Peh Bani Rehti Hai

 
رحمان فارس
Rehman Faris


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai