Rukta Bhi Nahi Theek Se , Chalta Bhi Nahi Hai Yeh Dil Keh Tere Ba'ad , Sanbhalta Bhi Nahi Hai
رُکتا بھی نہیں ٹھیک سے ، چلتا بھی نہیں ھے
یہ دل کہ تیرے بعد ، سنبھلتا بھی نہیں ھے
Rukta Bhi Nahi Theek Se , Chalta Bhi Nahi Hai
Yeh Dil Keh Tere Ba'ad , Sanbhalta Bhi Nahi Hai
اک عمر سے ھم اُس کی تمنا میں ھیں بے خواب
وہ چاند جو آنگن میں ، اُترتا بھی نہیں ھے
Ik Umar Se Hum Uski Tamanna Mein Hein Be-Khuwaab
Woh Chand Jo Aangan Mein , Utarta Bhi Nahi Hai
پھر دل میں تیری یاد کے ، منظر ھیں فروزاں
ایسے میں کوئی ، دیکھنے والا بھی نہیں ھے
Phir Dil Mein Teri Yaad Ke , Manzar Hein Firozaan
Aise Mein Koi , Daikhny Wala Bhi Nahi Hai
ھمراہ بھی خواھش سے ، نہیں رھتا ھمارے
اور بامِ رفاقت سے ، اُترتا بھی نہیں ھے
Humrah Bhi Khuwahish Se , Nahi Rehta Humare
Aur Baam e Rafaqat Se , Utarta Bhi Nahi Hai
اِس عمر کے صحرا سے ، تری یاد کا بادل
ٹلتا بھی نہیں ، اور برستا بھی نہیں ھے
Is Umar Ke Sahra Se , Teri Yaad Ka Badal
Talta Bhi Nahi , Aur Barasta Bhi Nahi Hai
نوشی گیلانی
Noshi Gailani
Comments
Post a Comment