Sab Ne Diya Laqab Jise Aalam Panah Ka Tha Qatal e Aam Mashghala Uski Sipah Ka
سب نے دیا لقب جسے عالم پناہ کا
تھا قتلِ عام مشغلہ اس کی سپاہ کا
Sab Ne Diya Laqab Jise Aalam Panah Ka
Tha Qatal e Aam Mashghala Uski Sipah Ka
جس کا مقام تھا کسی جاگیر سے بلند
میں بن سکا مرید نہ اس بارگاہ کا
Jis Ka Muqaam Tha Kisi Jageer Se Buland
Main Ban Saka Mureed Na Us Bargaah Ka
واعظ کی پارسائی میں شامل تھی بزدلی
لیتا وہ کاش حوصلہ مجھ سے گناہ کا
Wa'aiz Ki Paarsaai Mein Shamil Thi Buzdili
Laita Woh Kaash Housla Mujh Se Gunah Ka
کنکر پہ جب پڑا تو بنایا اسے گلاب
سایا عجیب تھا وہ کسی کی نگاہ کا
Kankar Peh Jab Pada Tou Banaya Usay Gulaab
Saya Ajeeb Tha Woh Kisi Ki Nigah Ka
سنتے ہیں اگلے دور کا معمار ہے وہی
جو ذمے دار ہے مرے حالِ تباہ کا
Sunty Hein Agly Daor Ka Ma'amaar Hai Wahi
Jo Zama-Dar Hai Mere Haal e Tabah Ka
موجود تھی قتیلؔ وہاں بھی منافقت
اک غلغلہ بپا تھا جہاں واہ واہ کا
Moujood Thi QATEEL Wahan Bhi Munafiqat
Ik Ghulghulah Bapa Tha Jahan Wah Wah Ka
قتیل شفائی
Qateel Shifai
Comments
Post a Comment