Sainkdon Aa Ke Rahy Dil Mein Gumaan Sari Raat Sach Kaho , Tum Ne Guzari Hai Kahan Sari Raat



سینکڑوں آ کے رہے دل میں گُماں ساری رات
سچ کہو، تم نے گزاری ہے کہاں ساری رات
Sainkdon Aa Ke Rahy Dil Mein Gumaan Sari Raat
Sach Kaho , Tum Ne Guzari Hai Kahan Sari Raat

 
ہر نَفَس پر تِری آہٹ کا گماں ساری رات
دِل رہا تِری جانب نگراں ساری رات
Har Nafas Par Teri Aahat Ka Gumaan Sari Raat
Dil Raha Teri Janib Nigraan Sari Raat

 
جُستجُو میں تِری تھک ہار کے بیٹھا نہ گیا
دِل جو دَھڑکا، تو رہے اشک رواں ساری رات
Justjo Mein Teri Thak Haar Ke Baitha Na Gaya
Dil Jo Dhadka , Tou Rahy Ashk Rawaan Sari Raat

 
غیر کو بزم میں غیبت کا بہانہ مِل جائے
پھر تو لگ پاۓ نہ تالُو سے زباں ساری رات
Ghair Ko Bazam Mein Gheebat Ka Bahana Mil Jaye
Phir Tou Lag Paaye Na Taloo Se Zuban Sari Raat


دو گھڑی بھی ہے غنیمت مِرے گھر میں رُکنا
میں کہاں آپ کہاں اور کہاں ساری رات
Do Ghadhi Bhi Hai Ghanimat Mere Ghar Mein Rukna
Main Kahan Aap Kahan Aur Kahan Sari Raat

 
وہ سرِ شام ذرا دیر کو آ نکلے تھے
جگمگاتا ہی رہا میرا مکاں ساری رات
Woh Sar e Sham Zara Der Ko Aa Nikly Thay
Jagmagata Hi Raha Mera Makaan Sari Raat

 
چاند تاروں میں تِری شکل نظر آتی ہے
ہجر میں وصل کا رہتا ہے سماں ساری رات
Chand Taron Mein Teri Shakal Nazar Aati Hai
Hijar Mein Wasal Ka Rehta Hai Samaan Sari Raat

 
رات بھر رُخ بھی اِدھر کا نہ کِیا اُس نے نصِیرؔ
خواب کیا، زِیست رہی ہم پہ گراں ساری رات
Raat Bhar Rukh Bhi Idhar Ka Na Kia Us Ne NASEER
Khuwaab Kia , Zeest Rahi Hum Peh Garan Sari Raat

 
پیرسیّدنصیرالدّین نصیرؔ جیلانی
Peer Sayed Naseer o Deen Naseer Jailani


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha