Tum Jo Hoty Tou Humain Kitna Sahara Hota Hum Ne Aoron Ko Na Yun Dukh Mein Pukara Hota



تم جو ہوتے تو ہمیں کتنا سہارا ہوتا 

ہم نے اوروں کو نہ یوں دکھ میں پکارا ہوتا

Tum Jo Hoty Tou Humain Kitna Sahara Hota

Hum Ne Aoron Ko Na Yun Dukh Mein Pukara Hota

جتنی شدت سے میں وابستہ تھا تم سے فرحت

کس طرح میرا ترے بعد گزارا ہوتا

Jitni Shiddat Se Main Wabasta Tha Tum Se FARHAT

Kis Tarah Mera Tere Ba'ad Guzara Hota

مجھ کو یہ سوچ ہی کافی ہے جلانے کے لیے

میں نہ ہوتا تو کوئی اور تمہارا ہوتا

Mujh Ko Yeh Soch Hi Kafi Hai Jalany Ke Liye

Main Na Hota Tou Koi Aur Tumhara Hota

اور ہم بیٹھ کے خاموشی سے روئے جاتے

شام ہوتی، کسی دریا کا کنارا ہوتا

Aur Hum Baith Ke Khamoshi Se Roye Jaty

Shaam Hoti, Kisi Darya Ka Kinara Hota

دل سے دیکھی نہیں جاتی تھی خموشی گھر کی

کس طرح اجڑا ہوا شہر گوارا ہوتا

Dil Se Daikhi Nahi Jati Thi Khamoshi Ghar Ki

Kis Tarah Ujda Hoa Shehar Gawara Hota

چاند ہوتا کہ مری جان ستارہ ہوتا

ہم نے اک تیرے سوا دل سے اتارا ہوتا

Chand Hota Keh Meri Jaan Sitarah Hota

Hum Ne Ik Tere Siwa Dil Se Utara Hota

تو نے سوچا ہے کبھی کتنا محبت کے بغیر

روح فرسا دل ویراں کا نظارا ہوتا 

Tu Ne Socha Hai Kabhi Kitna Muhabbat Ke Baghair

Rooh Farsa Dil Weeran Ka Nazara Hota

فرحت عباس شاہ

Farhat Abas Shah

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo