Bas Piyar Tujh Se Ho Gaya Main Ne Kia Nahi Main Janta Hoon Tujh Peh Koi Haq Mera Nahi



بَس پیار تجھ سے ہو گیا میں نے کیا نہیں 

میں جانتا ہوں تجھ پہ کوئی حق میرا نہیں

 Bas Piyar Tujh Se Ho Gaya Main Ne Kia Nahi

Main Janta Hoon Tujh Peh Koi Haq Mera Nahi

تھوڑا سا تیرے عشق میں پاگل ضرور ہوں

تُو جِتنا سمجھتی ہے مجھے میں بُرا نہیں

 Thoda Sa Tere Ishq Mein Pagal Zaroor Hoon

Tu Jitna Samajhti Hai Mujhe Main Bura Nahi

بے ساختہ کہا تری صورت ہے ہے مثال

اتنی سی بات پر تو کوئی رُوٹھتا نہیں

 Be-Sakhta Kaha Teri Soorat Hai Be-Misaal

Itni See Baat Par Tou Koi Roothta Nahi

اک دل کے ٹوٹنے کے سوا کچھ نہیں ہوا

ہاں تجھ سے بچھڑ کر کوئی طوفاں اُٹھا نہیں

Ik Dil Ke Tootny Ke Siwa Kuch Nahi Hoa

Haan Tujh Se Bichad Kar Koi Toofan Utha Nahi

دُنیا میں سب سے زیادہ مجھے جانتی ہے وہ

اک دلربا کہ جس سے کبھی میں مِلا نہیں

 Dunya Mein Sab Se Ziyada Mujhe Janti Hai Woh

Ik Dilruba Keh Jis Se Kabhi Main Mila Nahi

کھویا کسی کو میں نے محبت میں ایک بار

تُو بھی مرے نصیب میں شاید لِکھا نہیں

 Khoya Kisi Ko Main Ne Muhabbat Mein Aik Baar

Tu Bhi Mere Naseeb Mein Shayed Lekha Nahi

میں خود کو بُھول بیٹھا جسے دیکھنے کے بعد

ارشد وہ ایک شخص مجھے بُھولتا نہیں

Main Khud Ko Bhool Baitha Jise Daikhny Ke Ba'ad

ARSHAD Woh Aik Shakhs Mujhe Bhoolta Nahi

مرزا ارشد علی بیگ

Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا

Audubon Pennsylvania


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai