Majboor Ho Gaya Hai Ya Maghroor Ho Gaya Woh Dhere Dhere Mujh Se Buhat Door Ho Gaya



مجبور ہو گیا ہے یا مغرور ہو گیا

وہ دھیرے دھیرے مجھ سے بہت دُور ہو گیا 

Majboor Ho Gaya Hai Ya Maghroor Ho Gaya

Woh Dhere Dhere Mujh Se Buhat Door Ho Gaya

 
دُنیا کے ڈر سے ہم نے بھی رستے بدل دئیے

کچھ وہ بھی اپنی ذات میں محصور ہو گیا 

Dunya Ke Dar Se Hum Ne Bhi Rasty Badal Diye

Kuch Woh Bhi Apni Zaat Mein Mahsoor Ho Gaya


اُلفت کی اک خراش تھی جو زخم بن گئی

پھر زخم بڑھتے بڑھتے وہ ناسُور ہو گیا 

Ulfat Ki Ik Khirash Thi Jo Zakham Ban Gai

Phir Zakham Badhty Badhty Woh Nasoor Ho Gaya


حق بات اُس کے شہر میں کہنے کے جُرم میں

مجھ پر گِرے وہ سنگ کہ منصور ہو گیا 

Haq Baat Uske Shehar Mein Kehne Ke Juram Mein

 Mujh Par Gire Woh Sang Keh Mansoor Ho Gaya


ارشد کٹھن بہت تھا بچھڑنے کا فیصلہ

میں وقت اور حالات سے مجبور ہو گیا

ARSHAD Kathin Buhat Tha Bichadne Ka Faisla

Main Waqt Aur Halaat Se Majboor Ho Gaya

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha