Nahi Ab Janta Koi Tumhein Mere Hawalon Se Chalo Ab Khurach Dalo Mujhe Apne Khayalon Se



نہیں اب جانتا کوئی تمہیں میرے حوالوں سے
چلو اب تو کُھرَچ ڈالو مجھے اپنے خیالوں سے
Nahi Ab Janta Koi Tumhein Mere Hawalon Se
Chalo Ab Khurach Dalo Mujhe Apne Khayalon Se


کسی نے میری طرح سے کسی کو بھی نہیں چاہا
بیاں کیسے کروں اپنی محبّت کو مثالوں سے
Kisi Ne Meri Tarah Se Kisi Ko Bhi Nahi Chaha
Bayaan Kaise Karon Apni Muhabbat Ko Misaalon Se

 
بالآخر توڑ ڈالا ہے وہ اک جذبات کا بندھن
بچا لایا ہوں دونوں کو زمانے کے سوالوں سے
Bal-Aakhir Tod Dala Hai Woh Ik Jazbaat Ka Bandhan
Bacha Laya Hon Dono Ko Zamane Ke Sawalon Se


ملے ہم اس طرح جیسے کہ دن اور رات ملتے ہیں
مجھے نسبت اندھیروں سے تجھے نسبت اُجالوں سے
Mily Hum Is Tarah Jaise Keh Din Raat Milty Hein
Mujhe Nisbat Andheron Se Tujhe Nisbat Ujalon Se

 
سبب کچھ اور تھا یا ہم جدا ہوتے رہے ارشد
کبھی مریخ کی گردش کبھی زُہرہ کی چالوں سے
Sabab Kuch Aur Tha Ya Hum Juda Hote Rahe ARSHAD
Kabhi Mireekh Ki Gardish Kabhi Zuhra Ki Chaalon Se

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha