Shikast Ho Gai Ik Bar Phir Muhabbat Mein Ik Aur Zakham Tha Lekha Hoa Yeh Qismat Mein
شکست ہو گئی اک بار پھر محبت میں
اک اور زخم تھا لکھا ہوا یہ قسمت میں
Shikast Ho Gai Ik Bar Phir Muhabbat Mein
Ik Aur Zakham Tha Lekha Hoa Yeh Qismat Mein
ترا جمال ہے آنکھوں میں میری خوابیدہ
ترا خیال تو شامل ہے میری عادت میں
Tera Jamal Hai Aankhon Mein Meri Khuwabeedah
Tera Khayal Tou Shamil Hai Meri Aadat Mein
قُبول مجھ کو ہے الزام بُت پرستی کا
خُدا دِکھائی دیا مُجھ کو تیری صُورت میں
Qubool Mujh Ko Hai Ilzam Butt-Parasti Ka
Khuda Dekhaai Diya Mujh Ko Teri Soorat Mein
دُکاں وفا کی سجائی ہے اُس شہر میں جہاں
خریدے جاتے ہیں یوسف ذرا سی قیمت میں
Dukan Wafa Ki Sajayi Hai Us Shehar Mein Jahan
Khareeday Jate Hein Yousaf Zara See Qeemat Mein
محو ہوا ہے اگر ذہن سے خیال ترا
رہا نہ لطف ہی باقی کوئی عبادت میں
Mahoo Hoa Hai Agar Zehan Se Khayal Tera
Raha Na Lutf Hi Baqi Koi Ibadat Mein
خدا نے غیب سے بھیجی مجھے مدد ارشد
نہ آیا کام کوئی جب مری ضرورت میں
Khuda Ne Ghaib Se Bhaiji Mujhe Madad ARSHAD
Na Aaya Kam Koi Jab Meri Zaroorat Mein
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig
آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania
Comments
Post a Comment