Soorat Bhi Jin Ki Daikhny Ko Hum Taras Gaye Kitne Azeez Mulk e Adam Ja Ke Bas Gaye



صُورت بھی جِن کی دیکھنے کو ہم ترَس گئے
کتنے عزیز مُلک ِ عدم جا کے بَس گئے
Soorat Bhi Jin Ki Daikhny Ko Hum Taras Gaye
Kitne Azeez Mulk e Adam Ja Ke Bas Gaye

پا پیادہ ایک عُمر چلے شہرِ عشق میں
برسی وہ غم کی آگ کہ پتّھر جُھلَس گئے
Paa Piyadah Aik Umar Chale Shehar e Ishq Mein
Barsi Woh Gham Ki Aag Keh Pathar Jhulas Gaye

سادہ دلوں کے واسطے مُشکل ہے یہ جہاں
شاید ہم ایسے لوگ یہاں آ کے پھنس گئے
Sadah Dilon Ke Wastay Mushkil Hai Yeh Jahan
Shayed Hum Aise Log Yahan Aa Ke Phans Gaye

ساوَن کی رُت میں دیکھا چمَن سُوکھتے ہوۓ
صحرا میں ٹُوٹ کر کبھی بادل برَس گئے
Sawan Ki Rut Mein Daikha Chaman Sookhty Hoe
Sahra Mein Toot Kar Kabhi Badal Baras Gaye

دُنیا کی تِلچھٹیں کسی دَلدَل سے کَم نہیں
جتنا نکلنا چاہا یہاں اور دَھنس گئے
Dunya Ki Talchetein Kisi Daldal Se Kam Nahi
Jitna Nikalna Chaha Yahan Aur Dhans Gaye

اِس عُمرِ بے مَہار کا کیا جشن کیجئے
چھ دن میں زندگی کے چھیاسٹھ برَس گئے
Is Umar e Be-Muhaar Ka Kia Jishan Kijiye
Cheh Din Mein Zindagi Ke Cheyasath Baras Gaye

ارشد خُدا کا شکر ہے جو کچھ ہمیں ملا
لے کر ہزار حسرتیں اہلِ ہوَس گئے
ARSHAD Khuda Ka Shukar Hai Jo Kuch Hamain Mila
Le Kar Hazaar Hasratein Ahl e Haos Gaye

مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania
یوم سالگِرہ
١٧، جولائی، ٢٠٢٣


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha