Tu Samne Ho Tou Main Khud Ko Bhool Jata Hon Chupa Ke Dard Ko Seenay Mein Muskurata Hon



تو سامنے ہو تو میں خُود کو بُھول جاتا ہوں
چُھپا کے درد کوسینے میں مسکراتا ہوں
Tu Samne Ho Tou Main Khud Ko Bhool Jata Hon
Chupa Ke Dard Ko Seenay Mein Muskurata Hon

 
میں تھک گیا ہوں دُعا اور اب نہیں کرتا
تجھے خبر ہے خدایا میں جو بھی چاہتا ہوں
Main Thak Gaya Hon Dua Aur Ab Nahi Karta
Tujhe Khabar Hai Khudaya Main Jo Bhi Chahta Hon

 
عجیب بات ہے دیکھا نہیں کبھی تجھ کو
 نظر اُٹھاؤں جدھر صرف تجھ کو پاتا ہوں
Ajeeb Baat Hai Daikha Nahi Kabhi Tujh Ko
Nazar Uthaoun Jidhar Sirf Tujh Ko Paata Hon

 
میں کُوچہ کُوچہ پھرا ہوں نجانے کیوں پھر بھی
ہمیشہ لوٹ کے بس تیرے در پہ آتا ہوں
Main Koocha Koocha Phira Hon Najane Kion Phir Bhi
Hamaisha Laot Ke Bas Tere Dar Peh Aata Hon


یہ ڈور پیار کی اُتنی اُلجھ گئی ارشد
نکلنا چاہوں میں جتنا اُلجھتا جاتا ہوں
Yeh Dor Piyar Ki Utni Ulajh Gai ARSHAD
Nikalna Chahon Main Jitna Ulajhta Jata Hon

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo