Din Chup Gaya Soraj Ka Kahein Nam Nahi Hai O Wa'ada-Shikan! Ab Bhi Teri Shaam Nahi Hai



دن چھپ گیا سورج کا کہیں نام نہیں ہے
او وعدہ شکن! اب بھی تیری شام نہیں ہے
Din Chup Gaya Soraj Ka Kahein Nam Nahi Hai
O Wa'ada-Shikan! Ab Bhi Teri Shaam Nahi Hai

 
یہ جلوہ بہت خاص ہے کچھ عام نہیں ہے
کمزور نگاہوں کا یہاں کام نہیں ہے
Yrh Jalwah Buhat Khaas Hai Kuch Aam Nahi Hai
Kamzor Nigahon Ka Yahan Kam Nahi Hai

 
اپنا ہی لہو دے کے گلستاں کو نکھارا
اپنا ہی گلستاں میں کہیں نام نہیں ہے
Apna Hi Lahoo De Ke Gulistan Ko Nikhara
Apna Hi Gulistan Mein Kahein Nam Nahi Hai

 
کیوں کرتا ہوں ساقی کا کرم عام نہیں ہے
اپنے ہی مقدر میں کوئی جام نہیں ہے
Kion Karta Hon Saqi Ka Karam Aam Nahi Hai
Apne Hi Muqadar Mein Koi Jaam Nahi Hai

 
بیمار کا دم ٹوٹ چکا، اٹھ چکی میت
اب آپ کے جانے کا وہاں کام نہیں ہے
Beemar Ka Dum Toot Chuka , Uth Chuki Mayat
Ab Aap Ke Jane Ka Wahan Kam Nahi Hai

 
دیوانے تو سب ان کے ہیں مگر فرق ہے اتنا
بدنام ہے کوئی، کوئی بدنام نہیں ہے
Deewane Tou Sab Unke Hein Magar Farq Hai Itna
Bad-Nam Hai Koi , Koi Bad-Nam Nahi Hai

 
کیوں یاس سے محشر میں چھپے دیکھ رہے ہو
کہہ تو دیا تم پر کوئی الزام نہیں ہے
Kion Yaas Se Mahshar Mein Chupay Daikh Rahe Ho
Keh Tou Diya , Tum Par Koi Ilzam Nahi Hai

 
گردشِ افلاک سلامت ہے تو ان سے
گنواؤں نہ تارے تو قمر نام نہیں ہے
Gardish e Aflak Salamat Hai Tou Un Se
Ginwaoun Na Tare Tou
QAMAR Nam Nahi Hai

 
استاد قمر جلالوی
Ustad Qamar Jalalvi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai