Main laakh kahuun aakaash huun , zameen hoon main Magar ussay tau khabar hai ke kuchh nahin hoon main
Main laakh kahuun aakaash huun , zameen hoon main
Magar ussay tau khabar hai ke kuchh nahin hoon main
मैं लाख कहूँ कि आकाश हूँ ज़मीं हूँ मै
मगर उसे तो ख़बर है कि कुछ नहीं हूँ मैं
Ajeeb log hain meri talaash mein mujh ko
Wahaan pe dhoondh rahey hain jahaan nahin hoon main
अजीब लोग हैं मेरी तलाश में मुझ को
वहाँ पे ढूँढ रहे हैं जहाँ नहीं हूँ मैं
Woh zar'rey zar'rey mein maujood hai magar main bhi
Kahein Kahein hoon, kahaan hoon? Kahein nahin hoon main
वो ज़र्रे ज़र्रे में मौजूद है मगर मैं भी
कहीं कहीं कहीं हूँ, कहाँ हूं ? कहीं नहीं हूं मैं
Sitaaro aao meri raah mein bikhar jaao
Ye mera hukam hai, haalaan ke kuchh nahin hoon main
सितारो आओ मेरी राह में बिखर जाओ
ये मेरा हुक्म है हालाँकि कुछ नहीं हूँ मै
Ye boodhi qabrein tumhein kuchh nahein bataayengi
Mujhey talaash karo dosto yahein hoon main
ये बूढ़ी क़ब्रें तुम्हें कुछ नहीं बताएँगी
मुझे तलाश करो दोस्तों यहीं हूँ मैं।
Rahat Indori
राहत इंदौरी
Comments
Post a Comment