Apni Doobi Hai Yun Bahav Mein Chaid Tha Zindagi Ki Naav Mein



اپنی ڈوبی ہے یوں بہاو میں
چھید تھا زندگی کی ناو میں
Apni Doobi Hai Yun Bahav Mein
Chaid Tha Zindagi Ki Naav Mein

 
کل کا دن ہو گا آج سے بہتر
دن یوں گزرا ہے میرا چاو میں
Kal Ka Din Ho Ga Aaj Se Behtar
Din Yun Guzra Hai Mera Chaav Mein

 
دے کے دکھ حال پوچھنا تیرا
اک اضافہ ہے میرے گھاو میں
De Ke Dukh Haal Poochna Tera
Ik Izafah Hai Mere Ghaav Mein

 
ہم تھے ارزاں رہے فقط ارزاں
حسن کا دیوتا ہے بھاو میں
Hum Tou Arzaan Rahe Faqat Arzaan
Husan Ka Devta Hai Bhaav Mein

 
آخرش ڈورِ عشق ٹوٹ گئی
شدت آئی بڑی تناو میں
Aakhrash Dor e Ishq Toot Gai
Shiddat Aai Badi Tanaav Mein

 
 اس لئے روز ہم نہیں  ملتے
قدر گھٹتی ہے آو جاو، میں
Is Liye Roz Hum Nahi Milty
Qadar Ghat'ti Hai Aav Jaav Mein

 
رد کیا جا چکا ہے یاں جن کو
وہ چنیں جائیں گے چناو میں
Rad Kia Ja Chuka Hai Yaan Jinko
Woh Chunein Jaeingy Chunaav Mein

 
غم کا گلخن نہ ہو سکا ٹھنڈا
جوش آتا رہا ہے تاو میں
Gham Ka Gulkhan Na Ho Saka Thanda
Josh Aata Raha Hai Taav Mein

 
ہم کو تو ہر جگہ ملا موجود
ڈھونڈتے ہیں خدا وہ گاو میں
Hum Ko Tou Har Jagah Mila Mojood
Dhoondte Hein Khuda Woh Gaav Mein

 
دل کے ہوں گے وہی قریں خرم
وہ جو بہتر ہیں رکھ رکھاو میں
Dil Ke Hongy Wahi Qareen KHURRAM
Woh Jo Behtar Hein Rakh Rakhaav Mein


خرم سہیل
Khurram Sohail


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo