Kahan Gaye Mere Dildar o Ghamgusar Se Log Woh Dilbaran e Zameen , Woh Falak Sha'ar Se Log



کہاں گئے میرے دلدار و غمگسار سے لوگ
وہ دلبرانِ زمیں ، وہ فلک شعار  سے لوگ

Kahan Gaye Mere Dildar o Ghamgusar Se Log

Woh Dilbaran e Zameen , Woh Falak Sha'ar Se Log


وہ موسموں کی صفت سب کو باعثِ تسکیں
وہ مہر و مہ کی طرح سب پہ آشکار سے لوگ

Woh Mousamon Ki Sifat Sab Ko Ba'aes e Taskeen

Woh Mehar o Mah Ki Tarah Sab Peh Aashkaar Se Log

 
ہر آفتاب سے  کرنیں سمیٹ لیتے ہیں
ہمارے شہر پہ چھائے ہوئے غبار سے لوگ

Har Aaftaab Se Kirnein Samait Laite Hein

Humare Shehar Peh Chhaaye Hoe Ghayar Se Log


ہم ایسے سادہ دِلوں کی کہیں پہ جا ہی نہیں
چہار سمت سے اُمڈے ہیں ہوشیار سے لوگ

Hum Aise Sadah Dilon Ki Kahein Peh Ja Hi Nahi

Chhar Simat Se Umday Hein Hoshyaar Se Log


لہو لہو ہوں جب آنکھیں تو کیسا وعدۂ دید
چلے گئے ہیں سرِ شام کُوئے یار سے لوگ

Lahoo Lahoo Hoon Jab Aankhein Tou Kaisa Wa'adah e Deed

Chaly Gaye Hein Sar e Shaam Koo e Yaar Se Log


نسیمِ صُبح کے جھونکے ہمیں بھی چھو کے گزر
ہمیں بھی یاد ہیں کچھ موسمِ بہار سے لوگ

 Naseem e Subah Ke Jhonky Humain Bhi Chho Ke Guzar

Humain Bhi Yaad Hein Kuch Mousam e Bahar Se Log 

(زہرا نگاہ​)
Zuhra Nigah


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai