Sitare Bant'ta Hai Woh , Zia Taqseem Karta Hai Suna Hai Habs Mousam Mein Hawa Taqseem Karta Hai
ستارے بانٹتا ہے وہ، ضیا تقسیم کرتا ہے
سُنا ہے حبس موسم میں ہَوا تقسیم کرتا ہے
Sitare Bant'ta Hai Woh , Zia Taqseem Karta Hai
Suna Hai Habs Mousam Mein Hawa Taqseem Karta Hai
اُسی کی اپنی بیٹی کی ہتھیلی خُشک رہتی ہے
جو بوڑھا دُھوپ میں دن بھر حِنا تقسیم کرتا ہے
Usi Ki Apni Beti Ki Hathaili Khushk Rehti Hai
Jo Bodha Dhoop Mein Din Bhar Hina Taqseem Karta Hai
اسے روکو کہ باز آئے سراسر ہے یہ پاگل پن
جو بہروں کے مُحلّوں میں صدا تقسیم کرتا ہے
Usay Roko Keh Baaz Aaye Sarasar Hai Yeh Pagal-Pan
Jo Behron Ke Mahallon Mein Sada Taqseem Karta Hai
تُمہاری یاد کچھ ایسے میرے دل پر اُترتی ہے
کہ جیسے روشنی، شب میں دِیا تقسیم کرتا ہے
Tumhari Yaad Kuch Aise Mere Dil Par Utarti Hai
Keh Jaise Roshni , Shab Mein Diya Taqseem Karta Hai
اُسی سے مانگ تُو عرفان باقی چھوڑ دے سب کو
جو پتھر میں بھی کیڑوں کو غذا تقسیم کرتا ہے
Usi Se Mang Tu IRFAN Baqi Chodh De Sab Ko
Jo Pathar Mein Bhi Keedon Ko Ghiza Taqseem Karta Hai
عرفان صادق
Irfan Sadiq
Comments
Post a Comment