Tark E Ulfat Ka Sila Paa Bhi Liya Hai Main Nay Ab To Aja K Tujhay Yaad Kya Hai Main Nay



ترکِ الفت کا صلہ پا بھی لیا ہے میں نے
اب تو آجا کہ تجھے یاد کیا ہے میں نے
Tark E Ulfat Ka Sila Paa Bhi Liya Hai Main Nay
Ab To Aja K Tujhay Yaad Kya Hai Main Nay

 
آسکی تیری جدائی نہ کبھی راس مجھے
تجھ سے بچھڑا تو یہ ہونے لگا احساس مجھے
Aa Saki Teri Judaai Nah Kabhi Raas Mujhe
Tujh Se Bichrha To Yeh Honay Laga Ehsas Mujhe

 
اپنے ہاتھوں سے کوئی زہر پیا ہے میں نے
اب تو آجا کہ تجھے یاد کیا ہے میں نے
Apne Haathon Se Koi Zeher Piya Hai Main Nay
Ab To Aja K Tujhay Yaad Kya Hai Main Nay

 
گنگناتی ہے وفا روح میں رم جھم کی طرح
سامنے اپنے کھڑا ہوں کسی مجرم کی طرح
Gun’gunati Hai Wafa Rooh Mein Rim Jhim Ki Tarah
Samnay Apne Khara Hoon Kisi Mujrim Ki Tarah

 
آج تو شرم سے منہ ڈھانپ لیا ہے میں نے
اب تو آجا کہ تجھے یاد کیا ہے میں نے
Aaj To Sharam Se Munh Dhaanp Liya Hai Main Nay
Ab To Aja K Tujhay Yaad Kya Hai Main Nay

 
جو بھی شکوہ ہے بھلانا ہی پڑے گا تجھ کو
اک نہ اک روز تو آنا ہی پڑے گا تجھ کو
Jo Bhi Shikwah Hai Bhulana Hi Parre Ga Tujh Ko
Ik Nah Ik Roz To Aana Hi Parre Ga Tujh Ko

 
دل کا دروازہ کھلا چھوڑ دیا ہے میں نے
اب تو آجا کہ تجھے یاد کیا ہے میں نے
Dil Ka Darwaazah Khula Chore Diya Hai Main Nay
Ab To Aja K Tujhay Yaad Kya Hai Main Nay

 
شاعری: قتیلؔ شفائی
Shairi : Qateel Shifai


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai