Arsa Khuwaab Mein Khone Nahi Daita Mujh Ko Koi Dhadka Hai Keh Sone Nahi Daita Mujh Ko



عرصہ خواب میں کھونے نہیں دیتا مجھ کو
کوئی دھڑّکا ہے کہ سونے نہیں دیتا مجھ کو

Arsa Khuwaab Mein Khone Nahi Daita Mujh Ko

Koi Dhadka Hai Keh Sone Nahi Daita Mujh Ko


ڈال دیتا ہے وہ ہر روز نئی الجھن میں
خود سے غافل کبھی ہونے نہیں دیتا مجھ کو

Dal Daita Hai Woh Har Roz Nayi Uljhan Mein

Khud Se Ghafil Kabhi Hone Nahi Daita Mujh Ko


دکھ تو ایسا ہے کہ دل آنکھ سے کٹ کٹ کے بہے
ایک وعدہ ہے کہ رونے نہیں دیتا مجھ کو

Dukh Tou Aisa Hai Keh Dil Aankh Se Kat Kat Ke Bahe

Aik Wa'ada Hai Keh Rone Nahi Daita Mujh Ko


راستہ اس کو بھی معلوم نہیں ہے شاید
پھر بھی جنگل میں وہ کھونے نہیں دیتا مجھ کو

Rastaq Usko Bhi Ma'aloom Nahi Hai Shayed

Phir Bhi Jangal Mein Woh Khone Nahi Daita Mujh Ko


دل کی مانند شکستہ بھی ہے بے منزل بھی
ناؤ لیکن وہ ڈبونے  نہیں دیتا مجھ کو

Dil Ki Manind Shikasta Bhi Hai Be-Manzil Bhi

Nav Lekin Woh Dabone Nahi Daita Mujh Ko
بڑھ گیا دل مرا ایذا طلبی میں تجھ سے
زخم بھی اب تو یہ دھونے نہیں دیتا مجھ کو

Badh Gaya Dil Mera Eza Talbi Mein Tujh Se

Zakham Bhi Ab Tou Yeh Dhone Nahi Daita Mujh Ko

 
جس سے پھوٹے کوئی سایہ کوئی خوشبو کوئی رنگ
بیج ایسا کوئی بونے نہیں دیتا مجھ کو

Jis Se Photy Koi Saya Koi Khushbo Koi Rang

Beej Aisa Koi Hone Nahi Daita Mujh Ko


جھوٹ لکھوں تو کوئی ہاتھ پکڑ لیتا ہے
نبض میں روح نہیں سمونے نہیں دیتا مجھ کو

Jhoot Lekhon Tou Tou Koi Haath Pakad Laita Hai

Nabz Mein Rooh Nahi Samone Nahi Daita Mujh Ko


ان ستاروں سے بلاوہ مرا آتا ہے کہ جو
چادرِ خاک پہ سونے نہیں دیتا مجھ کو

In Sitaron Se Bulawa Mera Aata Hai Keh Jo

Chadar e Khaak Peh Sone Nahi Daita Mujh Ko


 شاعرہ:پروین شاکر
Poetess:Parveen Shakir

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai