DECEMBER jany wala hai Chalo aik kam karty hain



دسمبر جانے والا ہے
چلو ایک کام کرتے ہیں
پرانے باب بند کر کے
سب نظر انداز کرتے ہیں
نئے سپنے سبھی بُن کر
اُلفت کے راستے چن کر
وفا داری پہ جینے کی
راہیں ہموار کرتے ہیں
بُھلا کر رنجشیں ساری
مِٹا کر نفرتیں دِل سے
معافی دے دلا کر اب
دِل اپنے صاف کرتے ہیں
جہاں پر ہوں سبھی مُخلص
نہ ہو دِل کا کوئی مُفلس
اِک ایسی بستی اپنوں کی
کہیں آباد کرتے ہیں
جو غم دیتے نہ ہوں گہرے
ہوں سانجھی سب وہاں ٹھہرے
سب ایسے ہی مكینوں سے
مکاں کی بات کرتے ہیں
نہ دیکھا ہو زمانے میں
پڑھا نہ ہو فسانے میں
اب ایسے جنوری کا ہم
سبھی آغاز کرتے ہیں


DECEMBER jany wala hai
Chalo aik kam karty hain
Puranay bab band kar kay
Sab nazar andaz karty hain
Naye spnay sabhe ban kar
Ulfat kay rasty chun kar
Wafadari pay jeenay ki
Rahien humwaar karty hain
Bhula kar ranjishien sarii
Mita kar nafratien dil say
Mafi day dila kar ab
Dil apnay saff karty hain
Jahan hoon sabhee mukhlis
Na ho dil ka koi muflis
Aik aysee basti apno ki
Kahien abad karty hain
Jo gham daity na hoon gehry
Hoon sanjhee sab wahan tehrey
Sab aisoo hi makeernoo say
Makan ki bat karty hain
Na daikha ho zamanay mein
Perha na ho fasanay mein

AB AISAY JANUARY KA HUM
SABHEE AGHAZ KARTY HAIN


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo