DECEMBER Thehar Jao Na Abhi Lamhe Nahi Bikhre



دسمبر ٹھہر جاؤ نا
ابھی لمحے نہیں بکھرے
DECEMBER Thehar Jao Na
Abhi Lamhe Nahi Bikhre

 
ابھی موسم نہیں بچھڑے
میرے کمرے کی ٹھنڈک میں
Abhi Mousam Nahi Bichday
Mere Kamre Ki Thandak Mein

 
ابھی کچھ دھوپ باقی ہے
میرے آنگن کے سب پودے
Abhi Kuch Dhoop Baqi Hai
Mere Aangan Ke Sab Poday

 
ابھی بھی گنگاتے ہیں
میرے بےجان ہونٹوں پر
Abhi Bhi Gungunate Hein
Mere Be-Jan Honton Par

 
ابھی مسکان ویسی ہے
کسی کے لوٹ آنے کا
Abhi Muskan Waisi Hai
Kisi Ke Laot Aane Ka

 
ابھی امکان باقی ہے
دسمبر اک بات بولوں میں
Abhi Imkan Baqi Hai
DECEMBER Ik Baat Bolon Main

 
اگر تم مان جاؤ تو
دسمبر ٹھہر جاؤ نا
دسمبر ٹھہر جاؤ نا
Agar Tum Maan Jao Tou
DECEMBER Thehar Jao Na
DECEMBER Thehar Jao Na


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha