Kabhi Hoti Hai Apnon Se Kabhi Hoti Hai Sapnon Se



کَبھی ہوتی ہے اَپنوں سے
کَبھی ہوتی ہے سَپنوں سے
Kabhi Hoti Hai Apnon Se
Kabhi Hoti Hai Sapnon Se

 
کَبھی اَنجان راہوں سے
کَبھی گُمنام نَاموں سے
Kabhi Anjan Raahon Se
Kabhi Gum-Nam Namon Se

 
کَبھی ہَوتی ہے پھُولوں سے
کَبھی بچپن کے جھولوں سے
Kabhi Hoti Hai Phoolon Se
Kabhi Bachpan Ke Jholon Se

 
کَبھی بے اِختیاری میں
کَبھی پکے اُصولوں سے
Kabhi Be-Ikhtiyari Mein
Kabhi Pakkay Usoolon Se

 
مُحبت اِک صَداقت ہے
مُحبت اِک عِبادت ہے
Muhabbat Ik Sadaqat Hai
Muhabbat Ik Ibadat Hai

 
دُکھوں میں رول دیتی ہے
دَرد اَنمول دیتی ہے
Dukhon Mein Rol Daiti Hai
Dard Anmol Daiti Hai

 
زہر بھی گھول دیتی ہے
مُحبت چیز ایسی ہے
Zehar Bhi Ghol Daiti Hai
Muhabbat Cheez Aisi Hai

 
شاعرہ:پروین شاکر
Poetess: Parveen Shakir


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo