Tera Israr Sar Aankhon Peh Keh Tum Ko Bhool Jaoun Main Main Koshish Kar Ke Daikhongi Wa'adah Nahi Karti



میں اپنی دوستی کو شہر میں رسواء نہیں کرتی
محبت میں بھی کرتی ہوں مگر چرچا نہیں کرتی

Main Apni Dosti Ko Shehar Mein Ruswa Nahi Karti

Muhabbat Main Bhi Karti Hon Magar Charcha Nahi Karti


جو مجھ سے ملنے آ جائے میں اس کی دِل سے خادم ہوں
جو اٹھ کے جانا چاھے میں اسے روکا نہیں کرتی

Jo Mujh Se Milny Aa Jaye Main Uski Dil Se Khadim Hon

Jo Uth Ke Jana Chahe Main Usay Roka Nahi Karti


جسے میں چھوڑ دیتی ہوں اسے پِھر بھول جاتی بوں
پِھر اس ہستی کی جانب میں کبھی دیکھا نبیں کرتی

Jise Main Chodh Daiti Hon Usay Phir Bhool Jati Hon

Phir Us Basti Ki Janib Main Kabhi Daikha Nahi Karti

 
تیرا اصرار سر آنكھوں پہ کے تم کو بھول جاؤں میں
میں کوشش کر کے دیکھوں گی مگر وعدہ نہیں کرتی

Tera Israr Sar Aankhon Peh Keh Tum Ko Bhool Jaoun Main

Main Koshish Kar Ke Daikhongi Wa'adah Nahi Karti

پروین شاکر

Parveen Shakir

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha