Aik aiyna rubaru hai abhi Us ki khushbu se guftugu hai abhi



ایک آئینہ روبرو ہے ابھی
اس کی خوشبو سے گفتگو ہے ابھی

وہی خانہ بدوش امیدیں
وہی بے صبر دل کی خو ہے ابھی

دل کے گنجان راستوں پہ کہیں
تیری آواز اور تو ہے ابھی

زندگی کی طرح خراج طلب
کوئی درماندہ آرزو ہے ابھی

بولتے ہیں دلوں کے سناٹے
شور سا یہ جو چار سو ہے ابھی

زرد پتوں کو لے گئی ہے ہوا
شاخ میں شدت نمو ہے ابھی

ورنہ انسان مر گیا ہوتا
کوئی بے نام جستجو ہے ابھی

ہمسفر بھی ہیں، رہگزر بھی ہے
یہ مسافر ہی کو بہ کو ہے ابھی
ادا جعفری

Aik aiyna rubaru hai abhi
Us ki khushbu se guftugu hai abhi

Wohi khana badosh umeeden
Wohi be sabr dil ki khu hai abhi

Dil ke gunjan raaston pe kahin
Teri awaz aur tu hai abhi

Zindagi ki tarah khiraj talab
Koi darmandah arzu hai abhi

Bolte hain dilon ke sannate
Shor sa ye jo char su hai abhi

Zard patton ko le gaiy hai hawa
Shakh mein shiddat e namu hai abhi

Warna insan mar gaya hota
Koi be naam justuju hai abhi

Humsafar bhi hain, rehguzar bhi hai
Ye musafir hi ku ba ku hai abhi

Ada Jaffery


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo