Fasana ab koi anjam apna chahta hai Talluq tootne ko ek bahana chahta hai



فسانہ اب کوئی انجام پانا چاہتا ہے
تعلق ٹوٹنے کو اک بہانہ چاہتا ہے

جہاں اک شخص بھی ملتا نہیں ہے چاہنے سے
وہاں یہ دل ہتھیلی پر زمانہ چاہتا ہے

مجھے سمجھا رہی ہے آنکھ کی تحریر اس کی
وہ آدھے راستے سے لوٹ جانا چاہتا ہے

یہ لازم ہے کہ آنکھیں دان کر دے عشق کو وہ
جو اپنے خواب کی تعبیر پانا چاہتا ہے

وہ مجھ کو آزماتا ہی رہا ہے زندگی بھر
مگر یہ دل اب اس کو آزمانا چاہتا ہے

اسے بھی زندگی کرنی پڑے گی میرؔ جیسی
سخن سے گر کوئی رشتہ نبھانا چاہتا ہے
حمیرا راحتؔ

Fasana ab koi anjam apna chahta hai
Talluq tootne ko ek bahana chahta hai

Jahan ek shakhs bhi milta nahi hai chahne se
Wahan ye dil hatheli par zamana chahta hai

Mujhe samjha rahi hai ankh ki tehreer us ki
Wo adhe raaste se laut jana chahta hai

Ye lazim hai ke ankhen dan kar de ishq ko wo
Jo apne khwab ki tabeer pana chahta hai

Wo mujh ko azmata hi raha hai zindagi bhar
Magar ye dil ab us ko azmana chahta hai

Usay bhi zindagi karni pade gi
Mir jaisi
Sukhan se gar koi rishta nibhana chahta hai

Humaira Rahat


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo