Hamari sanson mein aj tak wo hina ki khushbu mehak rahi hai Labon pe naghme machal rahe hain, nazar se masti chhalak rahi hai



ہماری سانسوں میں آج تک وہ حِنا کی خوشبُو مہک رہی ہے
لَبوں پہ نَغمے مَچَل رہے ہیں، نَظَر سے مَستی چَھلَک رہی ہے

کبھی جو تھے پیار کی ضمانَت وہ ہاتھ ہیں غیر کی امانَت
جو قَسمیں کھاتے تھے چاہتوں کی، اُنھی کی نِیَت بہک رہی ہے

کِسی سے کوئی گِلہ نہیں ہے، نصیِب ہی میں وفا نہیں ہے
جہاں کہِیں تھا حِنا کو کِھلنا حِنا وہِیں پہ مہک رہی ہے

وہ جِن کی خاطِر غَزَل کہی تھی وہ جِن کی خاطِر لِکھے تھے نغمے
اُنہِیں کے آگے سوال بن کے غَزَل کی جھانجَر چَھنَک رہی ہے

وہ میرے نزدِیک آتے آتے حیا سے اِک دِن سِمَٹ گئے تھے
میرے خیالوں میں _ آج تک وہ بدن کی ڈالی لَچَک رہی ہے

صدا جو دِل سے نِکل رہی ہے، وہ شعر و نغموں میں ڈھل رہی ہے
کہ دِل کے آنگَن میں جیسے کوئی غَزَل کی جھانجر چَھنَک رہی ہے

تڑَپ میرے بیقرار دِل کی کبھی تو اُن پہ اثر کرے گی
کبھی تو وہ بھی جلیں گے اِس میں جو آگ دِل میں دہَک رہی ہے
تسلیم فاضلی

Hamari sanson mein aj tak wo hina ki khushbu mehak rahi hai
Labon pe naghme machal rahe hain, nazar se masti chhalak rahi hai

Kabhi jo thay pyar ki zamanat wo hath hain ghair ki amanat
Jo qasmen khhate thay chahaton ki, unhi ki niyet behek rahi hai

Kisi se koi gila nahi hai naseeb hi mein wafa nahi hai
Jahan kahin tha hina ko khhilna, hina wahin pe mehak rahi hai

Wo jin ki khatir ghazal kahi thi, wo jin ki khatir likhhe thay naghme
Unhi ke agay sawal ban ke ghazal ki jhanjar chhanak rahi hai

Wo mere nazdeek atay atay haya se ek din simat gaye thay
Mere khayalon mein aj tak wo badan ki daali lachak rahi hai

Sadaa jo dil se nikal rahi hai, wo sher o naghmon mein dhal rahi hai
Ke dil ke angan mein jaise koi ghazal ki jhanjar chhanak rahi hai

Tadap mere beqarar dil ki kabhi to un pe asar kare gi
Kabhi to wo bhi jalen ge is mein jo aag dil mein dehek rahi hai

Tasleem Fazli


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo