Harchand nahi shauq ko yara e tamasha Khud ko na sahi, mujh ko dikhane ke liye aa



ھر چند نہیں شوق کو یارائے تماشہ
خود کو نہ سہی، مجھ کو دکھانے کے لیے آ

یہ عمر، یہ برسات، یہ بھیگی ہوئی راتیں
ان راتوں کو افسانہ بنانے کے لیے آ

جیسے تجھے آتے ہیں نہ آنے کے بہانے
ایسے ہی بہانے سے نہ جانے کے لیے آ

مانا کہ محبت کا چھپانا ہے محبت
چپکے سے کسی روز جتانے کے لیے آ

تقدیر بھی مجبور ہے تدبیر بھی مجبور
اس کہنہ عقیدے کو مٹانے کے لیے آ

عارض پہ شفق، دامن مژگاں میں ستارے
یوں عشق کی توقیر بڑھانے کے لیے آ

طالبؔ کو یہ کیا علم، کرم ہے کہ ستم ہے
جانے کے لیے روٹھ، منانے کے لیے آ
طالب باغپتی
Harchand nahi shauq ko yara e tamasha
Khud ko na sahi, mujh ko dikhane ke liye aa

Ye umr, ye barsat, ye bheegi hui raten
In raton ko afsana banane ke liye aa

Jaise tujhe atay hain na anay ke bahane
Aise hi bahane se na jane ke liye aa

Mana ke muhabbat ka chhupana hai muhabbat
Chupke se kisi roz jatane ke liye aa

Taqdeer bhi majboor hai, tadbeer bhi majboor
Is kuhna aqeede ko mitane ke liye aa

Araz pe shafaq, daman e muygan mein sitare
Youn ishq ki tauqeer badhane ke liye aa

Talib ko ye kia ilm, karam hai ke sitam hai
Jane ke liye rooth manane ke liye aa

Talib Baghpati


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai