Is raz ko kia jane sahil ke tamashaiy Hum doob ke samjhe hain dariya, teri gehraiy



اس راز کو کیا جانیں ساحل کے تماشائی
ہم ڈوب کے سمجھے ہیں دریا، تری گہرائی

Is raz ko kia jane sahil ke tamashaiy
Hum doob ke samjhe hain dariya, teri gehraiy


چلتے ہوئے بادل کے سائے کے تعاقب میں
یہ تشنہ لبی مجھ کو صحراؤں میں لے آئی

Chalte huay badal ke saye ke taqub mein
Ye tishna labi mujh ko sehraon mein le aiy


کیا سانحہ یاد آیا رزمیؔ کی تباہی کا
کیوں آپ کی نازک سی آنکھوں میں نمی آئی

Kia saniha yad aya
RAZMI ki tabahi ka
Kyun ap ki nazuk si ankhon mein nami aiy

مظفر رزمیؔ
Muzaffar Razmi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo