Lakh armanon ke ujde huay ghar hain dil mein Ye wo basti hai ke abaad hai veeranon se
لاکھ ارمانوں کے اجڑے ہوئے گھر ہیں دل میں
یہ وہ بستی ہے کہ آباد ہے ویرانوں سے
Lakh armanon ke ujde huay ghar hain dil mein
Ye wo basti hai ke abaad hai veeranon se
اب کوئی دیر میں الفت کا طلبگار نہیں
اٹھ گئی رسم وفا ہائے صنم خانوں سے
Ab koi deer mein ulfat ka talabgar nahi
Uth gaiy rasm e wafa haye sanam khanon se
ہائے کیا چیز ہے کیفیت سوز الفت
کوئی پوچھے یہ ترے سوختہ سامانوں سے
Haye kia cheez hai kaifiyet e soz e ulfat
Koi pooche ye tere sokhta samanon se
پھر بہار آئی جنوں خیز ہوائیں لے کر
پھر بلاوے مجھے آتے ہیں بیابانوں سے
Phir bahar aiy junoon khez hawayen le kar
Phir bulave mujhe atay hain bayabanon se
افسر میرٹھی
Afsar Merthi
Comments
Post a Comment