Maqtal e jan se ke zindan se ke ghar se nikle Hum to khushbu ki tarah nikle jidhar se nikle



مقتل جاں سے کہ زنداں سے کہ گھر سے نکلے
ہم تو خوشبو کی طرح نکلے جدھر سے نکلے

گر قیامت یہ نہیں ہے تو قیامت کیا ہے
شہر جلتا رہا اور لوگ نہ گھر سے نکلے

جانے وہ کون سی منزل تھی محبت کی جہاں
میرے آنسو بھی ترے دیدۂ تر سے نکلے

دربدری کا ہمیں طعنہ نہ دے اے چشم غزال
دیکھ وہ خواب کہ جس کے لیے گھر سے نکلے

میرا رہزن ہوا کیا کیا نہ پشیمان کہ جب
اس کے نامے میرے اسباب سفر سے نکلے

بر سر دوش رہے یا سر نیزہ یارب
حق پرستی کا نہ سودا کبھی سر سے نکلے
امید فاضلی

Maqtal e jan se ke zindan se ke ghar se nikle
Hum to khushbu ki tarah nikle jidhar se nikle

Gar qayamat ye nahi hai to qayamat kia hai
Shehr jalta raha aur loag na ghar se nikle

Jane wo kaun si manzil thi muhabbat ki jahan
Mere ansu bhi tere deedah e tar se nikle

Dar badari ka humen tana na de ay chashm e ghazaal
Dekh wo khwab ke jis ke liye ghar se nikle

Mera rehzan hua kia kia na pasheman ke jab
Us ke name mere asbab e safar se nikle

Bar sar e dosh rahe ya sar e neza Ya Rab
Haq parasti ka na sauda kabhi sar se nikle

Umeed Fazli


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo