Mayar apna hum ne giraya nahi kabhi Jo gir gaya nazar se, wo bhaya nahi kabhi



معیار اپنا ہم نے گرایا نہیں کبھی
جو گر گیا نظر سے، وہ بھایا نہیں کبھی

ہم آشنا تھے موجوں کے برہم مزاج سے
پانی پہ کوئی نقش بنایا نہیں کبھی

حرص و ہوس کو ہم نے بنایا نہیں شعار
اور اپنا اعتبار گنوایا نہیں کبھی

اک بار اس کی آنکھوں میں دیکھی تھی بے رخی
پھر اس کے بعد یاد وہ آیا نہیں کبھی

تنہائیوں کا راج ہے دل میں تمھارے بعد
ہم نے کسی کو اس میں بسایا نہیں کبھی

تسنیمؔ جی رہے ہیں بڑے حوصلے کے ساتھ
ناکامیوں پہ شور مچایا نہیں کبھی
تسنیمؔ کوثر

Mayar apna hum ne giraya nahi kabhi
Jo gir gaya nazar se, wo bhaya nahi kabhi

Hum ashna thay maujon ke barham mizaj se
Pani pe koi naqsh banaya nahi kabhi

Hirs o hawis ko hum ne banaya nahi sha’ar
Aur apna aitbar ganwaya nahi kabhi

Ek baar us ki ankhon mein dekhi thi berukhi
Phir us ke baad yad wo aya nahi kabhi

Tanhaiyon ka raj hai dil mein tumhare baad
Hum ne kisi ko is mein basaya nahi _ kabhi

Tasneen ji rahe hain bade hausle ke sath
Nakamiyon pe shor machaya nahi kabhi

Tasneem Kausar


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha