Mere khuloos ki shiddat se koi dar bhi gaya Wo paas aa to raha tha magar thehr bhi gaya



مرے خلوص کی شدت سے کوئی ڈر بھی گیا
وہ پاس آ تو رہا تھا مگر ٹھہر بھی گیا

یہ دیکھنا تھا بچانے بھی کوئی آتا ہے
اگر میں ڈوب رہا تھا تو خود ابھر بھی گیا

اے راستے کے درختو سمیٹ لو سایہ
تمہارے جال سے بچ کر کوئی گزر بھی گیا

کسی طرح سے تمہاری جبیں چمک تو گئی
یہ اور بات، سیاہی میں ہاتھ بھر بھی گیا

یہیں کہیں مرے ہونٹوں کے پاس پھرتا ہے
وہ ایک لفظ کہ جو ذہن سے اتر بھی گیا

وہ شاخ جھول گئی جس پہ پاؤں قائم تھے
شکیبؔ ورنہ مرا ہاتھ تا ثمر بھی گیا
شکیبؔ جلالی

Mere khuloos ki shiddat se koi dar bhi gaya
Wo paas aa to raha tha magar thehr bhi gaya

Ye dekhna tha bachane bhi koi ata hai
Agar main doob raha tha to khud ubher bhi gaya

Ay raaste ke darakhto samet lo saya
Tumhare jaal se bach kar koi guzar bhi gaya

Kisi tarah se tumhari jabeen chamak to gaiy
Ye aur bat _ siyahi mein hath bher bhi gaya

Yahin kahin mere honton ke paas phirta hai
Wo aik lafz ke jo zehn se uter bhi gaya

Wo shakh jhool gaiy jis pe pa’on qa’im thay
SHAKEEB warna mera hath ya samar bhi gaya
Shakaib Jalali


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo