Mere waste jahan mein koi dilkashi nahi hai Ke tere baghair jeena koi zindagi nahi hai



مرے واسطے جہاں میں کوئی دلکشی نہیں ہے
کہ ترے بغیر جینا کوئی زندگی نہیں ہے

تری ذات کے علاوہ مجھے اور چاہیے کیا
تو اگر ہے ساتھ میرے، مجھے کچھ کمی نہیں ہے

وہ نظر نظر نہیں ہے نہ ہو جس میں عکس تیرا
کوئی دل ہے وہ بھی جس میں غم عاشقی نہیں ہے

کوئی واسطہ نہیں ہے جسے درد دیگراں سے
وہ ہے آدمی کا پیکر مگر آدمی نہیں ہے

مرے دل کے داغ، تو ہی ذرا اور لو بڑھا دے
شب غم ہے تیرہ تیرہ کہیں روشنی نہیں ہے

مری بات سن کے اخترؔ سنی ان سنی نہ کر دو
یہ حدیث جان و دل ہے، نری شاعری نہیں ہے
اختر مسلمی

Mere waste jahan mein koi dilkashi nahi hai
Ke tere baghair jeena koi zindagi nahi hai

Teri zat ke ilawa mujhe aur chahiye kia
Tu agar hai sath mere, mujhe kuch kami nahi hai

Wo nazar nazar nahi hai, na ho jis mein aks tera
Koi dil hai wo bhi jis mein gham e ashiqi nahi hai

Koi wasta nahi hai jise dard e deegran se
Wo hai admi ka paiker magar admi nahi hai

Mere dil ke dagh tu hi zara aur lau badha de
Shab e gham hai teera teera, kahin raushni nahi hai

Meri bat sun ke
Akhter suni an suni na kar do
Ye hadees e dilbaran hai niri sha’iri nahi hai

Akhtar Muslimi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha