Meri rooh mein jo uter saken, wo muhabbaten mujhe chahiyen Jo sarab hon, na azab hon wo rafaqaten mujhe chahiyen



مری روح میں جو اتر سکیں وہ محبتیں مجھے چاہئیں
جو سراب ہوں، نہ عذاب ہوں، وہ رفاقتیں مجھے چاہئیں

انہیں ساعتوں کی تلاش ہے جو کیلنڈروں سے اتر گئیں
جو سمے کے ساتھ گزر گئیں، وہی فرصتیں مجھے چاہئیں

کہیں مل سکیں تو سمیٹ لا مرے روز و شب کی کہانیاں
جو غبار وقت میں چھپ گئیں وہ حکایتیں مجھے چاہئیں

جو مری شبوں کے چراغ تھے، جو مری امید کے باغ تھے
وہی لوگ ہیں مری آرزو وہی صورتیں مجھے چاہئیں
اعتبار ساجدؔ

Meri rooh mein jo uter saken, wo muhabbaten mujhe chahiyen
Jo sarab hon, na azab hon wo rafaqaten mujhe chahiyen

Unhi sa’aton ki talash hai jo calendaron se uter gayeen
Jo samai ke sath guzar gayeen, wohi fursarten mujhe chahiyen

Kahin mil saken to samet la mere roz o shab ki kahaniyan
Jo ghubar e waqt mein chhup gayeen, wo hokayeten mujhe chahiyen

Jo meri shabon ke chiragh thay, jo meri umeed ke bagh thay
Wohi loag hain meri arzu wohi sooraten mujhe chahiyen

Aitbar Sajid


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai